patthar ke Khudaa vahaa.N bhii paaye ham chaa.Nd se aaj lauT aaye diivaare.n to har taraf kha.Dii hai.n kyaa ho gayaa meharabaa.N saaye ja.ngal kii havaaye.N aa rahii hai.n kaaGaz kaa ye shehar u.D na jaaye lailaa ne nayaa janam liyaa hai hai Qais koii jo dil lagaaye hai aaj zamiin kaa gusal-e-sahat jis dil me.n ho jitanaa Khuun laaye seharaa seharaa lahuu ke Kheme phir pyaase lab-e-furaat aaye