tum itanaa jo muskuraa rahe ho kyaa Gam hai jis ko chhupaa rahe ho aa.Nkho.n me.n namii ha.Nsii labo.n par kyaa haal hai kyaa dikhaa rahe ho ban jaaye.nge zahar piite piite ye ashk jo piite jaa rahe ho jin zaKhmo.n ko vaqt bhar chalaa hai tum kyo.n unhe.n chhe.De jaa rahe ho rekhaao.n kaa khel hai muqaddar rekhaao.n se maat khaa rahe ho