mere hii lahuu par guzar auqaat karo ho mujh se hii amiiro.n kii tarah baat karo ho din ek sitam ek sitam raat karo ho vo dost ho dushman ko biii maat karo ho ham khaaq_nashiin tum suKhan_aaray sar-e-baam paas aakar milo duur se kyaa baat karo ho ham ko jo milaa hai vo tumhii.n se to milaa hai ham aur bhulaa de.n tumhe.n kyaa baat karo ho yuu.n to muu.Nh pher ke dekho bhii nahii.n ho jab vaqt pa.De hai to madaaraat karo ho na daaman pe ko_ii chii.nT na Khanjar pe ko_ii daaG tum qatl karo ho ke karaamaat karo ho bakane do "Aajiz" ko jo bole hai bake hai diivaanaa hai diivaane se kyaa baat karo ho