jalataa nahii.n aur jal rahaa huu.N kis aag me.n mai.n pighal rahaa huu.N mafaluuj hai.n haath-paa.Nv mere phir zahan me.n kyuu.N chal rahaa huu.N [mafaluuj=useless] raa_ii kaa banaa ke ek parvat ab is pe Khud hii phisal rahaa huu.N kis haath se haath mai.n milaa_uu.N ab apane hii haath mal rahaa huu.N kyo.n aa_iinaa baar baar dekhuu.N mai.n aaj nahii.n jo kal rahaa huu.N ab kaun saa dar rahaa hai baaqii us dar se kyo.n mai.n nikal rahaa huu.N qadamo.n ke tale to kuchh nahii.n hai kis chiiz ko mai.n kuchal rahaa huu.N ab ko_ii nahii.n rahaa sahaaraa mai.n aaj se phir sambhal rahaa huu.N ye barf haTaao mere sar se mai.n aaj kuchh aur jal rahaa huu.N