jab bhii aatii hai terii yaad kabhii shaam ke baad aur ba.D jaatii hai afsurdaadilii shaam ke baad ab iraado.n pe bharosaa hai na taubaa pe yaqii.n mujh ko le jaaye kahaa.N tashnaalabii shaam ke baad yuu.N to har lamhaa terii yaad kaa bojhal guzaraa dil ko mahasuus hu_ii terii kamii shaam ke baad yuu.N to kuchh shaam se pahale bhii udaasii thii 'Adeeb' ab to kuchh aur ba.Dii dil kii lagii shaam ke baad