'Mir' dariyaa hai, sune sher zabaanii us kii
allaah allaah re tabiyat kii ravaanii us kii
mi.nh to bochhaa.D kaa dekhaa hai barasate tumane
isii a.ndaaz se thii ashk-fishaanii us kii
[mi.nh=water]
baat kii tarz ko dekho to ko_ii jaduu thaa
par milii Khaak me.n sab sahar bayaanii us kii
[sahar=magic]
marsi-e-dil ke ka_ii kah ke diye logo.n ne
shahar-e-dillii me.n hai sab paas nishaanii us kii
[marsiyaa=song/poem of mourning/elegy]
ab gaye us ke jo afasos nahii.n kuchh haasil
haif sad haif ki kuchh qadr na jaanii us kii
[haif=alas!; sad=hundred]