ishq me.n jii ko sabr-o-taab kahaa.N us se aa.Nkhe.n lagii.n to Khvaab kahaa.N bekalii dil hii kii tamaashaa hai barq me.n aise izteraab kahaa.N hastii apanii hai biichh me.n pardaa ham na hove.n to phir hijaab kahaa.N giriyaa-e-shab se surKh hai.n aa.Nkhe.n mujh balaa nosh ko sharaab kahaa.N ishq hai aashiqo.n ko jalane ko ye jahannum me.n hai azaab kahaa.N mahv hai.n is kitaabii chehare ke aashiqo.n ko sar-e-kitaab kahaa.N ishq kaa ghar hai 'Meer' se aabaad aise phir Khaanaamaa.N_Kharaab kahaa.N