sher ke parde me.n mai.n ne Gam sunaayaa hai bahut
marsiye ne dil ko mere bhii rulaayaa hai bahut
[marsiyaa=elegy/song of mourning]
vaadii-o-kohasar me.n rotaa huu.N dhaa.De maar-maar
dilbaraan-e-shahar ne mujh ko sataayaa hai bahut
[vaadii=valley; kohasar=mountain; dhaa.De maar-maar ke ronaa=to cry very loudly]
vaa nahii.n hotaa kisii se dil giriftaa ishq kaa
zaahiraa Gam-gii.n use rahanaa Khush aayaa hai bahut
[vaa=open; zaahiraa=in reality/in fact; Gam-gii.n=sad/drowned in sorrow]