jism apanaa hai ko_ii aur na saayaa apanaa jaane is ziist me.n hai kaun saa rishtaa apanaa [ziist = life] tuune kis mo.D pe chho.Daa thaa mujhe umr-e-ravaa.N tak rahaa huu.N ka_ii sadiyo.n se mai.n rastaa apanaa [umr-e-ravaa.N = past life] ham rahe bhii to badalate hue mausam kii tarah terii aa.Nkho.n me.n ko_ii aks na Thaharaa apanaa [aks = reflection] ik teraa Gam thaa ba_har_rang jo shaadaab rahaa is shajar ne giraayaa ko_ii pattaa apanaa [ba_har_rang = in every colour; shaadaab = green (fresh)] [shajar = tree; kitane asanaam taraashe hai.n terii suurat ke jhaa.Nk kar dekh zaraa mujh se saraapaa apanaa [asanaam = plural of 'sanam' (idol); saraapaa = head to toe]