You Are Here:   Home >> Urdu Poetry >> Niyaaz Barelvi >> Ham Ko Yaan Dar Dar Phiraayaa Yaar Ne

Ham Ko YaaN Dar Dar Phiraayaa Yaar Ne

ham ko yaa.N dar dar phiraayaa yaar ne
laamakaa.N m.en ghar banaayaa yaar ne

aap apane dekhane ke vaaste
ham ko aa_iinaa banaayaa yaar ne

apane ik adanaa tamaashe ke liye
ham ko suulii par cha.Dhaayaa yaar ne

aap chhup ke ham ko kar ke ruu-bar-ruu
Khuub hii rusvaa karaayaa yaar ne

aap to but ban ke kii jalvaa-garii
aur hame.n kaafir banaayaa yaar ne

zer-e-shaan-e-beniyaazii khul ga_ii
jis taraf ruKh ko phiraayaa yaar ne

 

Comments:

Please login if you are registered user otherwise register to give comments

 

Other Related

No other related record added.

Featured Memmber

pashoo

About us

PoetryUstad.com is plateform to provide best and famous Urdu Poetry, Ghazal, Shayri, latest SMS and Stories.