Khayaal-o-Khvaab hue hai.n muhabbate.n kaisii lahuu me.n naach rahii.n hai.n ye vahashate.n kaisii na shab ko chaa.Nd hai achchhaa na din ko mehar achchhaa ye ham pe biit rahii hai.n qayaamate.n kaisii azaab jin kaa tabassum savaab jin kii nigaah khi.nchii hu_ii hai.n pas-e-jaanaa.N suurate.n kaisii havaa ke dosh pe rakkhe hue charaaG hai.n ham jo bujh gaye to havaa se shikaayate.n kaisii jo beKhabar ko_ii guzaraa to sadaa ye dii hai mai.n sang-e-raah huu.N mujh par inaayate.n kaisii jo aa rahe so vo bhii ab sang-o-Khisht laataa hai fazaa ye ho to dilo.n kii nazakate.n kaisii