dil jalegaa to zamaa.ne me.n ujaalaa hogaa husn zarro.n kaa sitaaro.n se niraalaa hogaa kaun jaane ye mohabbat kii sazaa hai ke silaa ham kinaare pe bhii pahu.Nche to kinaaraa na milaa bujh gayaa chaa.Nd kisii dard bhare dil kii tarah raat kaa rang abhii aur bhii kaalaa hogaa dekhanaa royegii fariyaad karegii duniyaa ham na ho.nge to hame.n yaad karegii duniyaa apane jiine kii adaa bhii anokhii sab se apane marane kaa bhii andaaz niraalaa hogaa