You Are Here:   Home >> Urdu Poetry >> Rai Rampuri >> Shaayad Aa Jaayegaa Saaqii Ko Taras Ab Ke Baras

Shaayad Aa Jaayegaa Saaqii Ko Taras Ab Ke Baras

shaayad aa jaayegaa saaqii ko taras ab ke baras
mil na paayaa hai un aa.Nkho.n ka ras ab ke baras

aisii chaa_ii.n thii kahaa.N Gam kii ghaTaaye.N pahale
haa.N mere diidaa-e-tar Khuub baras ab ke baras

uff vo un mad-bharii aa.Nkho.n ke chhalakate huye jaam
ba.D ga_ii aur bhii piine kii havas ab ke baras

pahale ye kab thaa ki vo mere hai.n mai.n un kaa huu.N
un kii yaado.n ne sataayaa hai to bas ab ke baras

 

Comments:

Please login if you are registered user otherwise register to give comments

 

Other Related

No other related record added.

Featured Memmber

abiha

About us

PoetryUstad.com is plateform to provide best and famous Urdu Poetry, Ghazal, Shayri, latest SMS and Stories.