hairat se tak rahaa hai jahaan-e-vafaa mujhe tum ne banaa diyaa hai mohabbat me.n kyaa mujhe har manzil-e-hayaat se gum kar gayaa mujhe mu.D mu.D ke raah me.n vo teraa dekhanaa mujhe kaif-e-Khudii ne mauj ko kashtii banaa diyaa hosh-e-Khudaa hai ab na Gam-e-naaKhudaa mujhe saaqii bane huye hai.n vo 'Sagar' shab-e-visaal is vaqt ko_ii meri kasam dekhataa mujhe