tere daaman kii havaa maa.Ngate hai.n ham bhii jiine kii duaa maa.Ngate hai.n mutribo ko_ii achhuutaa naGmaa saaz aaha.ng-o-sadaa maa.Ngate hai.n maah-o-a.njum ke jharoke aksar kisii ke aariz kii duaa maa.Ngate hai.n phir pata.ngo.n me.n Khudaa_ii jaagii shole hashr-numaa maa.Ngate hai.n ba.ndaa-paravar ko_ii Khairaat nahii.n ham vafaao.n kaa silaa maa.Ngate hai.n maikadaa ho ke kaliisaa "Sagar" saarii duniyaa kaa bhalaa maa.Ngate hai.n