dil chiiz kyaa hai aap merii jaan liijiye bas ek baar meraa kahaa maan liijiye is anjuman me.n aapako aanaa hai baar baar diivaar-o-dar ko Gaur se pahachaan liijiye maanaa ke dosto.n ko nahii.n dostii kaa paas lekin ye kyaa ke Gair kaa ehasaan liijiye kahiye to aasamaa.N ko zamii.n par utaar laaye.N mushkil nahii.n hai kuchh bhii agar Thaan liijiye