had-e-nigaah tak ye zamii.n hai siyaah phir nikalii hai juganuo.n kii bhaTakatii sipaah phir ho.nTho.n pe aa rahaa hai ko_ii naam baar baar sannaaTo.n kii tilism ko to.Degii aah phir pichhale safar kii gard ko daaman se jhaa.D do aavaaz de rahii hai ko_ii suunii raah phir berang aasmaa.N ko dekhegii kab talak manzar nayaa talaash karegii nigaah phir Dhiilii hu_ii giraft junuu.N kii ke jal uThaa taaq-e-havas me.n ko_ii charaaG-e-gunaah phir