kis-kis tarah se mujh ko na rusvaa kiyaa gayaa Gairo.n kaa naam mere lahuu se likhaa gayaa nikalaa thaa mai.n sadaa-e-jaras kii talaash me.n bhuule se is sukuut ke seharaa me.n aa gayaa [jaras=bell; sukuut=silence] kyo.n aaj us kaa zikr mujhe Khush na kar sakaa kyo.n aaj us kaa naam meraa dil dukhaa gayaa is haadase ko sun ke karegaa yaqii.n ko_ii suuraj ko ek jho.nkaa havaa kaa bujhaa gayaa