kiyaa iraadaa baarahaa tujhe bhulaane kaa milaa na uzr hii ko_ii magar Thikaane kaa ye kaisii ajanabii dastak thii kaisii aahaT thii tere sivaa thaa kise haq mujhe jagaane kaa ye aa.Nkh hai ki nahii.n dekhaa kuchh sivaa tere ye dil ajab hai ki Gam hai ise zamaane kaa vo dekh lo vo samandar Khushk hone lagaa jise thaa daavaa merii pyaas ko bujhaane kaa zamii.n pe kis liye zanjiir ho gaye saaye mujhe pataa hai magar mai.n nahii.n bataane kaa