ye kyaa jagah hai dosto ye kaun saa dayaar hai hadd-e-nigaah tak jahaa.N Gubaar hii Gubaar hai ye kis mukaam par hayaat mujh ko leke aa ga_ii na bas Khushii pe hai jahaa.N na Gam pe iKhtiyaar hai tamaam umr kaa hisaab maa.Ngatii hai zindagii ye meraa dil kahe to kyaa ye Khud se sharm_saar hai bulaa rahaa kyaa ko_ii chilamano.n ke us taraf mere liye bhii kyaa ko_ii udaas beqaraar hai na jis kii shakl hai ko_ii na jis kaa naam hai ko_ii ik aisii shai kaa kyo.n hame.n azal se intazaar hai