terii mahafil se uThakar ishq ke maaro.n pe kyaa guzarii muKhaalif ik jahaa.N thaa jaane bechaaro.n pe kyaa guzarii sahar ko ruKhsat-e-biimaar-e-furqat dekhane vaalo kisii ne ye bhii dekhaa raat bhar taaro.n pe kyaa guzarii sunaa hai zindagii viiraaniyo.n ne luuT lii milakar na jaane zindagii ke naaz_baradaaro.n pe kyaa guzarii ha.Nsii aa_ii to hai bekaif sii lekin Khudaa jaane mujhe masaruur paakar mere Gam_Khvaaro.n pe kyaa guzarii asiir-e-Gam to jaa.N dekar rihaa_ii paa gayaa lekin kisii ko kyaa Khabar zindaa.N kii divaaro.n pe kyaa guzarii