kitanii raahat hai dil TuuT jaane ke baad zindagii se mile maut aane ke baad lazzat-e-sajdaa-e-sa.ng-e-dar kyaa kahe.n hosh hii kab rahaa sar jhukaane ke baad kyaa huaa har masarrat agar chhin ga_ii aadamii ban gayaa Gam uThaane ke baad [masarrat=happiness] raat kaa maajaraa kis se puuchhe.n 'Shamim' kyaa banii bazm par mere aane ke baad