mere nasiib ne jab mujh se intaqaam liyaa kahaa.N kahaa.N terii yaado.n ne haath thaam liyaa fazaa kii aa.Nkh bhar aa_ii havaa kaa rang u.Daa sukuut-e-shaam ne chupake se teraa naam liyaa [fazaa=vast expanse; sukuut=silence] vo mai.n nahii.n thaa ek harf bhii na kah payaa vo bebasii thii ke jis ne teraa salaam liyaa har ek Khushii ne tere Gam kii aabaruu rakhalii har ek Khushii se tere Gam ne inteqaam liyaa