ab tak us kii muhabbat kaa nashaa taarii hai phuul baaqii nahii.n Khushbuu kaa safar jaarii hai sahar lagataa hai pasiine me.n nahaayaa huaa jism ye ajab Khvaab me.n Duubii hu_ii bedaarii hai [bedaarii = wakefulness] aaj kaa phuul terii kokh se zaahir hogaa shaaKh-e-dil Khushk ha no ab ke terii baarii hai dhyaan bhii us kaa hai milate bhii nahii.n hai.n us se jism se bair hai saaye se vafaadaarii hai [bair = enmity] dil ko tanhaa_ii kaa ahasaas bhii baaqii na rahaa vo bhii dhundhalaa ga_ii jo shakl bahut pyaarii hai is tag-o-taaz me.n TuuTe hai.n sitaare kitane aasmaa.N jiit sakaa hai na zamii.n haarii hai [tag-o-taaz = running around busily/work] ko_ii aayaa hai zaraa aa.Nkh to kholo 'Shehzad' abhii jaage the abhii sone kii taiyaarii hai [taiyaarii = preparation]