merii zubaa.N se merii daastaa.N suno to sahii
yaqii.N karo na karo meherbaa.N suno to sahii
chalo ye maan liyaa mujrim-e-mohabbat hai.n
hamaare jurm kaa hamase bayaa.N suno to sahii
banoge dost mere tum bhii dushmano.n ek din
merii hayaat kii aah-o-fuGaa.N suno to sahii
labo.n ko sii ke jo baiThe hai.n bazm-e-duniyaa me.n
kabhii to unakii bhii Khamoshiyaa.N suno to sahii
kahoge vaqt ko mujarim bharii bahaaro.n me.n
jalaa thaa kaise meraa aashiyaa.N suno to sahii