kuchh aur gum_raahii-e-dil kaa raaz kyaa hogaa ik ajanabii thaa kahii.n raah me.n kho gayaa hogaa [gu_-raahii-e-dil=lost heart] isii Khayaal se raate.n uja.D ga_ii.n apanii ko_ii hamaarii bhii haalat ko dekhataa hogaa tumhaare dil me.n kahaa.N merii yaad kaa paratau vo ek halkaa saa baadal thaa chhaT gayaa hogaa [paratau=shadow] vo jin kii raat tumhaare hii dam se raushan thii jo tum vahaa.N se gaye hoge kyaa huaa hogaa