din Dhal chukaa thaa aur parindaa safar me.n thaa saaraa lahuu badan kaa ravaa.N Khisht-o-par me.n thaa had-e-ufaq pe shaam thii Kheme me.n muntazar aa.Nsuu kaa ik pahaa.D saa haa_il nazar me.n thaa jaate kahaa.N ki raat kii baahe.n thii.n mushta_iil chhupate kahaa.N ki saaraa jahaa.N apane ghar me.n thaa lo vo bhii narm ret ke Tiile me.n Dhal gayaa kal tak jo ek koh-e-giraa.N rah_guzar me.n thaa utaraa thaa vahashii chi.Diyo.n kaa lashkar zamiin par phir ik bhii narm paat na saare shahar me.n thaa paagal sii ik sadaa kisii uja.De makaa.n me.n thii Khi.Dakii me.n ik chiraaG bharii dopahar me.n thaa us kaa badan thaa Khuun kii hiddat se sholaa_fish suuraj kaa ik gulaab saa tisht-e-sahar me.n thaa