dil kii lagii ko aur vo bha.Dakaa rahe hai.n aaj sar taa paa bahaar bane jaa rahe hai.n aaj jaise ke ho rahaa hai tuluu aaftaab-e-naaz kuchh aisii shaan se vo chale aa rahe hai.n aaj Thukaraa ke iltajaa ko paa-e-Guruur se armaano.n kaa vo Khuun kiye jaa rahe hai.n aaj vo pyaar kii fizaaye.n vo rangiin sohabate.n manzar vo saare shauq ke yaad aa rahe hai.n aaj "Yahya" gilaa kare.n bhii to kis baat kaa kare.n apane kiye kii aap sazaa paa rahe hai.n aaj