jaan-e-sukuun aa bhii jaa teraa hii intazaar hai aa.Nkho.n se ashk hai ravaa.N jaa.N bhii beqaraar hai hone ko fasl-e-gul bhii hai daavat-e-aish hai magar apanii bahaar kaa mujhe aaj bhii intazaar hai saare sahaare ishq ke TuuT chuke hai.n hijr me.n ek tumhaarii yaad bas dard kii Gam-gusaar hai ahad-e-vafaa kaa aap ke lutf-o-karam kaa aap ke aur kisii ko ho na ho mujh ko aitabaar hai luT ga_ii Gam kii aabaruu luT chukii dil kii aarazuu 'Yahya' nigaah-e-lutf kaa phir bhii ummiid_vaar hai