josh par phir hai tabiyat tere diivaano.n kii phir chamakane ko hai taqdiir biyaabaano.n kii TuuTaa TuuTaa saa hai har ek sahaaraa dil kaa suunii suunii hai duniyaa mere armaano.n kii saarii duniyaa to chhuuTii tum ne bhii muu.Nh mo.D liyaa qaabil-e-raham hai haalat mere armaano.n kii aur hii ruKh hai havaa-e-Gam-e-dil kaa "Yahya" bahakii bahakii sii hai baate.n tere diivaano.n kii