nahii.n ki milane milaane kaa sil_silaa rakhanaa kisii bhii satah pe ko_ii to raabtaa rakhanaa [satah=level; raabtaa=relationship] madad kii tum se tavaqqo to Khair kyaa hogii Gariib-e-shahar-e-sitam huu.N meraa pataa rakhanaa [madad=help; tavaqqo=expectation] mare.nge aur hamaare sivaa bhii tum pe bahut ye jurm hai to phir is jurm kii sazaa rakhanaa naye safar pe ravaanaa huaa hai az-sar-e-nau jab aa_uu.Ngaa to meraa naam bhii nayaa rakhanaa [az-sar-e-nau=a fresh start] hisaar-e-shauq uThaanaa 'Zafar' zaruur magar kisii taraf se nikalane kaa raastaa rakhanaa [hisaar-e-shauq=bonds of desire]