dariyaa-e-ashk chashm se jis aan bah gayaa sun liijiyo ke arsh kaa aivaan bah gayaa [aan = moment; arsh = heaven; aivaan = palace] zaahid sharaab piine se kaafir huaa mai.n kyuu.N kyaa De.Dh chulluu paanii me.n imaan bah gayaa yuu.N roye phuuT phuuT ke paa.Nvo.n ke aabale naalaa saa ek suu-e-biyaabaan bah gayaa [aabale = blisters; naalaa = stream; suu-e-biyaabaan= towards wilderness] kashtii savaar-e-umr huu.N bahr-e-fanaa me.n mai.n jis dam bahaa ke le gayaa tuufaan bah gayaa thaa 'Zauq' pahale dillii me.n panjaab kaa saa husn par ab vo paanii kahate hai.n multaan bah gayaa