marate hai.n tere pyaar se ham aur ziyaadaa tuu lutf me.n karataa hai sitam aur ziyaadaa de.n kyo.n ki na vo daaG-e-alam aur ziyaadaa qiimat me.n ba.Dhe dil ke diram aur ziyaadaa [diram=an old currency (precursor of Dirham, currency of UAE)] kyaa hovegaa do-chaar qadah se mujhe saaqii mai.n luu.Ngaa tere sar kii qasam aur ziyaadaa [qadah=peg] vo dil ko churaakar jo lage aa.Nkh churaane yaaro.n kaa gayaa un pe bharam aur ziyaadaa kyo.n mai.n ne kahaa tujh saa Khudaa_ii me.n nahii.n aur maGaruur huaa ab vo sanam aur ziyaadaa lete hai.n samar shaaKh-e-samaravar ko jhukaakar jhukate hai.n saKhii vaqt-e-karam aur ziyaadaa [samar=fruit; shaaKh-e-samaravar=fruit-ladden branch] [saKhii=giver/benefactor; vaqt-e-karam=time of benevolence] jo kunj-e-qana'at me.n hai.n taqadiir pe shaakir hai "Zauq" baraabar unhe.n kam aur ziyaadaa [kunj-e-qana'at=corner of satisfaction; shaakir=satisfied]