ab ye aa.Nkhe.n kisii taskiin se taabindaa nahii.n mai.n ne raftaa se ye jaanaa hai ke aa_indaa nahii.n dil ye viraa.N dam-e-iisaa hai gaye vaqt kii yaad kaun saa aalam kaa ye raftaa hai ke zindaa nahii.n tuu bhii chaahe to na aayegii vo biitii hu_ii raat hai vahii chaa.Nd magar vaisaa daraKhshandaa nahii.n kabhii Gunche ko mahakane se ko_ii rok sakaa shauq agar hai to izaaKhaar se sharmindaa nahii.n